Duniya ka har shoq pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko unchala nahi jata,
Mehnat karne se ho jati h mushqile assan,
Kyunki har kaam taqdir par taala nahi jata.
Har jalte Deepak tale andhera hota h,
har raat ke piche ek savera hota,
log darr jate h musibat ko dekhkar,
har musibat ke piche such ka savera hota h.
Jo na pura ho use armaan kehte h,
Jo na badle use imaan kehte h,
Jindagi pyasi bhale hi bhit jaye,
Par jo nahi jhukta use insaan kehte h
Mushkil is duniya me kuch bhi nahi,
Phir bhi log apne irade tod dete h,
Agar sache dil se ho chahat kuch pane ki,
To sitare bhi apne jagah chod dete h.
Parwato Ko Kaat ke Raah Bananae,
Ka Dum Rakhate Hai Hum,
Ghir Ke Toofano Se Unhe Maja,
Chakhane Ka Dum Rakhte Hai Hum,
Ye To Taras Aa Jata Hai Aasman,
Ki Khamoshi Ko Dekhakar,
Varna Uska Bhi Seena Cheerkar,
Roshani Failane Ka Dum Rakhte Hai Hum
No comments:
Post a Comment